Shayari
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
dil-e-naadaan tujhe huaa kyaa hai
aakhir is dard ki davaa kyaa hai
دل ناداں تجھے ہوا کیا ہے
آخر اس درد کی دوا کیا ہے
dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
āḳhir is dard kī davā kyā hai

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
1797–1869
View all quotes by Mirza Ghalibphir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par
dete hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
maar Daalegi ek din 'tanhaa'
ye tiri shokhi-e-jamaal mujhe
ho na jab tak 'matin' kaif-e-gham
aadmi ko khudaa nahin miltaa
rumuz-e-ishq-o-mohabbat se aashnaa huun main
kisi ko gham-zada dekhaa to ro diyaa huun main