Shayari
aise khoe sahar ke divaane
lauT kar shaam tak na ghar aae
rumuz-e-ishq-o-mohabbat se aashnaa huun main
kisi ko gham-zada dekhaa to ro diyaa huun main
رموز عشق و محبت سے آشنا ہوں میں
کسی کو غمزدہ دیکھا تو رو دیا ہوں میں
रुमूज़-ए-इश्क़-ओ-मोहब्बत से आश्ना हूँ मैं
किसी को ग़म-ज़दा देखा तो रो दिया हूँ मैं

aise khoe sahar ke divaane
lauT kar shaam tak na ghar aae
tufaan se bach ke Duubi hai kashti kahaan na puchh
saahil bhi e'tibaar ke qaabil nahin rahaa
gham-e-insaan ko siine se lagaa lo
ye khidmat bandagi se kam nahin hai
yahi aaina hai vo aaina jo liye hai jalva-e-aagahi
ye jo shaaeri kaa shuur hai ye payambari ki talaash hai
gham-e-maaal gham-e-zindagi gham-e-dauraan
hamaare ishq kaa charchaa kahaan kahaan na rahaa
agar duniyaa tujhe divaana kahti hai to kahne de
vafaadaaraan-e-ulfat par yahi ilzaam aataa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
shuur-e-zindagi ki raushni mein
shab-e-gham bhi sahar se kam nahin hai
ye jo divaar andheron ne uThaa rakkhi hai
meraa maqsad isi divaar mein dar karnaa hai
ye saDi laashon ki badbu aur ye shoalon kaa raqs
hai zamin par aaj kis ki hukmaraani kyaa likhun