Shayari
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
mujh tak kab un ki bazm mein aataa thaa daur-e-jaam
saaqi ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab mein
مجھ تک کب ان کی بزم میں آتا تھا دور جام
ساقی نے کچھ ملا نہ دیا ہو شراب میں
mujh tak kab un kī bazm meñ aatā thā daur-e-jām
saaqī ne kuchh milā na diyā ho sharāb meñ

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
1797–1869
View all quotes by Mirza Ghalibphir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par
dete hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
na jab tak ham-pyaala ho koi main mai nahin piitaa
nahin mehmaan to faaqa hai khalilullaah ke ghar mein
javaan rakhti hai mai dekhe ajab taasir paani mein
pilaataa hai miraa saaqi mujhe iksir paani mein
un mad-bhari aankhon ki taarif ho kyaa zaahid
dekho to hain do saaghar samjho to hain mai-khaana
ba-juz us ke 'ehsaan' ko kyaa samajhiye
bahaaron mein khoyaa huaa ik sharaabi