Shayari
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
tangi-e-dil kaa gila kyaa ye vo kaafir-dil hai
ki agar tang na hotaa to pareshaan hotaa
تنگی دل کا گلہ کیا یہ وہ کافر دل ہے
کہ اگر تنگ نہ ہوتا تو پریشاں ہوتا
tañgi-e-dil kā gila kyā ye vo kāfir-dil hai
ki agar tañg na hotā to pareshāñ hotā

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
1797–1869
View all quotes by Mirza Ghalibphir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par
dete hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye bhi hai maaraa huaa saaqi ki chashm-e-naaz kaa
is liye 'aadil' ko shishe ki pari achchhi lagi