Shayari
Talnaa thaa mere paas se ai kaahili tujhe
kam-bakht tu to aa ke yahin Dher ho gai
baad tauba ke bhi hai dil mein ye hasrat baaqi
de ke qasmein koi ik jaam pilaa de ham ko
بعد توبہ کے بھی ہے دل میں یہ حسرت باقی
دے کے قسمیں کوئی اک جام پلا دے ہم کو
बा'द तौबा के भी है दिल में ये हसरत बाक़ी
दे के क़स्में कोई इक जाम पिला दे हम को

Talnaa thaa mere paas se ai kaahili tujhe
kam-bakht tu to aa ke yahin Dher ho gai
hans ke kahtaa hai musavvir se vo ghaarat-gar-e-hosh
jaisi surat hai miri vaisi hi tasvir bhi ho
usi par munhasir thi zindagi kyaa
ghaTaa jaataa hai dam zabt-e-fughaan se
apne surat-gar se puchhun main agar maqdur ho
kyaa banaayaa thaa mujhe tu ne miTaane ke liye
dekhaa hai mujhe apni khushaamad mein jo masruf
is but ko ye dhokaa hai ki islaam yahi hai
ham ko bhi kyaa kyaa maze ki daastaanein yaad thiin
lekin ab tamhid-e-zikr-e-dard-o-maatam ho gaiin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein