Shayari
rang badlaa huaa thaa phulon kaa
tum yaqinan udaas guzre the
aap hamdardi na yuun jatlaaiye
ye miraa maamul kaa nuqsaan hai
آپ ہمدردی نہ یوں جتلائیے
یہ مرا معمول کا نقصان ہے
आप हमदर्दी न यूँ जतलाٖईए
ये मिरा मा'मूल का नुक़सान है

rang badlaa huaa thaa phulon kaa
tum yaqinan udaas guzre the
bin dekhe bhi chain nahin hai 'mustahsan'
dekhun to saari binaai jaati hai
tiri lab-kushaai pe munhasir miri zindagaani hai dostaa
tiraa bolnaa bhi qubul hai tiri khaamushi bhi aziiz hai
lutf ki in pe koi khaas nazar hai ki nahin
apne maston ki koi khair-khabar hai ki nahin
sivaae is ke koi bhi masrufiyat nahin hai
main in dinon bas charaagh taqsim kar rahaa huun
ham talvaar uThaa nahin paae
ham aavaaz uThaa sakte the
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
parde mein khamoshi ke burqe mein udaasi ke
shaayad koi aa jaae darvaaza khulaa rakhnaa
koThe ujaaD khiDkiyaan chup raaste udaas
jaate hi un ke kuchh na rahaa zindagi ke paas
hazaar rang mein mumkin hai dard kaa izhaar
tire firaaq mein marnaa hi kyaa zaruri hai