Shayari
'aazurdaa' mar ke kucha-e-jaanaan mein rah gayaa
di thi duaa kisi ne ki jannat mein ghar mile
M
Mufti Sadruddin Aazurdamain aur zauq-e-baada-kashi le gaiin mujhe
ye kam-nigaahiyaan tiri bazm-e-sharaab mein
میں اور ذوق بادہ کشی لے گئیں مجھے
یہ کم نگاہیاں تری بزم شراب میں
मैं और ज़ौक़-ए-बादा-कशी ले गईं मुझे
ये कम-निगाहियाँ तिरी बज़्म-ए-शराब में
'aazurdaa' mar ke kucha-e-jaanaan mein rah gayaa
di thi duaa kisi ne ki jannat mein ghar mile
is dard-e-judaai se kahin jaan nikal jaae
'aazurdaa' mire haq mein zaraa yuun bhi duaa kar
naaseh yahaan ye fikr hai siina bhi chaak ho
hai fikr-e-bakhiya tujh ko garebaan ke chaak mein
ai dil tamaam nafa hai saudaa-e-ishq mein
ik jaan kaa ziyaan hai so aisaa ziyaan nahin
vo aur vaada vasl kaa qaasid nahin nahin
sach sach bataa ye lafz unhi ki zabaan ke hain
kaTti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaaq
shaayad ki gardish aaj tujhe aasmaan nahin
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
dil ki zakhmon ko kiyaa kartaa hai taaza har-dam
phir sitam ye hai ki rone bhi nahin detaa hai
khair dozakh mein mai mile na mile
shaikh-saahab se jaan to chhuTegi
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa