Shayari
tamaam umr tire intizaar mein hamdam
khizaan-rasida rahaa huun bahaar kar mujh ko
tumhein hamaari mohabbaton ke hasin jazbe bulaa rahe hain
jo ham ne likkhe the tum pe hamdam vo saare naghme bulaa rahe hain
تمہیں ہماری محبتوں کے حسین جذبے بلا رہے ہیں
جو ہم نے لکھے تھے تم پہ ہمدم وہ سارے نغمے بلا رہے ہیں
तुम्हें हमारी मोहब्बतों के हसीन जज़्बे बुला रहे हैं
जो हम ने लिक्खे थे तुम पे हमदम वो सारे नग़्मे बुला रहे हैं

tamaam umr tire intizaar mein hamdam
khizaan-rasida rahaa huun bahaar kar mujh ko
umr bhar rahnaa hai taabir se gar duur tumhein
phir mire khvaab mein aane ki zarurat kyaa hai
tujh se main jang kaa elaan bhi kar hi dungaa
mere dushman tu mire qad ke baraabar to aa
nahin hai jis kaa hal ab to koi 'nadim' bas ik sivaa tumhaare
main ek aisaa hi masala huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa
duniyaa badal gai thi koi gham na thaa mujhe
tum bhi badal gae the ye hairaani khaa gai
tu samajhtaa hai gar fuzul mujhe
kar ke himmat zaraa saa bhuul mujhe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dard ki had se guzarnaa to abhi baaqi hai
TuuT kar meraa bikharnaa to abhi baaqi hai
zabt-e-raaz-e-gham pe sau jaanein bhi kar dete nisaar
kyaa bataaein bas zabaan par un kaa naam aa hi gayaa
tere rone ki khabar rakhti hain aankhein meri
teraa aansu mire rumaal mein aa jaataa hai