Shayari
miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
jo chhupaa letaa hai divaar ki uryaani ko
dosto aisaa calendar nahin pheinkaa jaataa
جو چھپا لیتا ہے دیوار کی عریانی کو
دوستو ایسا کلنڈر نہیں پھینکا جاتا
जो छुपा लेता है दीवार की उर्यानी को
दोस्तो ऐसा कैलेंडर नहीं फेंका जाता

miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
ab aap ki marzi hai sambhaalein na sambhaalein
khushbu ki tarah aap ke rumaal mein ham hain
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
kuchh nahin hogaa to aanchal mein chhupaa legi mujhe
maan kabhi sar pe khuli chhat nahin rahne degi
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the
kuchh us ne bhi baalon ko khulaa chhoD diyaa thaa
ye soch ke maan baap ki khidmat mein lagaa huun
is peD kaa saayaa mire bachchon ko milegaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
laai hai ab uDaa ke gae mausamon ki baas
barkhaa ki rut kaa qahr hai aur ham hain dosto
'hafiz' apni boli mohabbat ki boli
na urdu na hindi na hindostaani
'aziz' munh se vo apne naqaab to ulTein
kareinge jabr agar dil pe ikhtiyaar rahaa
kah do ye kohkan se ki marnaa nahin kamaal
mar mar ke hijr-e-yaar mein jiinaa kamaal hai
surma jo nuur bakhshe hai aankhon ko khalq ki
shaayad ki raah-e-yaar ki hi khaak dhuul ho