Shayari
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
kaash dekho kabhi TuuTe hue aainon ko
dil shikasta ho to phir apnaa paraayaa kyaa hai
کاش دیکھو کبھی ٹوٹے ہوئے آئینوں کو
دل شکستہ ہو تو پھر اپنا پرایا کیا ہے
kaash dekho kabhī TuuTe hue ā.īnoñ ko
dil shikasta ho to phir apnā parāyā kyā hai

ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
laai hai ab uDaa ke gae mausamon ki baas
barkhaa ki rut kaa qahr hai aur ham hain dosto
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
qindil-e-mah-o-mehr kaa aflaak pe honaa
kuchh is se ziyaada hai miraa khaak pe honaa
vo kaun dil hai jahaan mein kah duun jise ki ye aap kaa nahin hai
ghazab to ye hai ki meraa dil hai magar miraa ham-navaa nahin hai
mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai
un ko aakhir junun se kyaa haasil
pairahan roz jo badalte hain