Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
apni gharaz ko aae the vo raat 'mushafi'
le kar miri baghal se miraa dil ravaan hue
اپنی غرض کو آئے تھے وہ رات مصحفیؔ
لے کر مری بغل سے مرا دل رواں ہوئے
अपनी ग़रज़ को आए थे वो रात 'मुस्हफ़ी'
ले कर मिरी बग़ल से मिरा दिल रवाँ हुए

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kucha-e-zulf se Taltaa hi nahin
dil ko sakta bhi hai saudaa hi nahin
zaraa mausam to badlaa hai magar peDon ki shaakhon par nae patton ke aane mein abhi kuchh din lageinge
bahut se zard chehron par ghubaar-e-gham hai kam be-shak par un ko muskuraane mein abhi kuchh din lageinge
dil mein kisi ke raah kiye jaa rahaa huun main
kitnaa hasin gunaah kiye jaa rahaa huun main
aaghaaz-e-mohabbat kaa anjaam bas itnaa hai
jab dil mein tamannaa thi ab dil hi tamannaa hai