Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
mere aur yaar ke parda to nahin kuchh lekin
be-khudi biich mein divaar huaa chaahti hai
میرے اور یار کے پردہ تو نہیں کچھ لیکن
بے خودی بیچ میں دیوار ہوا چاہتی ہے
मेरे और यार के पर्दा तो नहीं कुछ लेकिन
बे-ख़ुदी बीच में दीवार हुआ चाहती है

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
tu meraa dost hai dushman hai mujhe kuchh to bataa
teraa kirdaar taraazu nahin hotaa mujh se
martaba aaj bhi zamaane mein
pyaar se aajizi se miltaa hai
zindagi gum na dosti gum hai
ye haqiqat hai aadmi gum hai