Shayari
aisaa bhi kabhi ho main jise khvaab mein dekhun
jaagun to vahi khvaab ki taabir bataae
shaayad vo bhuli-bisri na ho aarzu koi
kuchh aur bhi kami si hai teri kami ke saath
شاید وہ بھولی بسری نہ ہو آرزو کوئی
کچھ اور بھی کمی سی ہے تیری کمی کے ساتھ
शायद वो भूली-बिसरी न हो आरज़ू कोई
कुछ और भी कमी सी है तेरी कमी के साथ

aisaa bhi kabhi ho main jise khvaab mein dekhun
jaagun to vahi khvaab ki taabir bataae
zehn mein yaad ke ghar TuTne lagte hain 'shahaab'
log ho jaate hain ji ji ke puraane kitne
ham mein aur parindon mein farq sirf itnaa hai
dast-o-paa mile ham ko baal-o-par parindon ko
bikhraa bikhraa saa saaz-o-saamaan hai
ham kahin dil kahin aqida kahin
main bhi shaayad aap ko tanhaa milon
apni tanhaai mein jaa kar dekhiye
kahaa thaa main ne kho kar bhi tujhe zinda rahungaa
vo aisaa jhuuT thaa jis ko nibhaanaa paD gayaa hai
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
naa-umidi baDh gai hai is qadar
aarzu ki aarzu hone lagi
khvaahishein hain ghar se baahar duur jaane ki bahut
shauq lekin dil mein vaapas lauT kar aane kaa thaa
mujh ko khvaahish hi DhunDne ki na thi
mujh mein khoyaa rahaa khudaa meraa
rang o bu mein Duube rahte the havaas
haae kyaa shai thi bahaar-e-aarzu
khvaahishon ki bijliyon ki jalti bujhti raushni
khinchti hai manzaron mein naqsha-e-aasaab saa