Shayari
kitni viraani hai mere andar
kis qadar teri kami hai mujh mein
vo hijratein hon hijr ho yaa qissa-e-visaal
aa phir se mere naam sabhi vaaqiaat kar
وہ ہجرتیں ہوں ہجر ہو یا قصۂ وصال
آ پھر سے میرے نام سبھی واقعات کر
वो हिजरतें हों हिज्र हो या क़िस्सा-ए-विसाल
आ फिर से मेरे नाम सभी वाक़िआ'त कर

kitni viraani hai mere andar
kis qadar teri kami hai mujh mein
reza reza honaa bantaa hai miraa
tum mukammal mere dil par utre ho
kitni khvaahishein dil mein palti hain magar 'naahid'
haath hi naiin aate bhaagte hue lamhe
zindagi is qadar buri bhi nahin
dekh main muskuraa rahi huun naa
aur phir dil ne us ko chhoD diyaa
jab ta'alluq bahaal thaa hi nahin
shaam ki shaam se sargoshi suni thi ik baar
bas tabhi se tujhe imkaan mein rakkhaa huaa hai
is balaa ko to khudaa jald kare shahr-badar
kaale paani ko ravaana shab-e-hijraan ho jaae
kis qadar hijr mein behoshi hai
jaagnaa bhi hai hamaaraa sonaa
raat thaa vasl aaj hijr kaa din
kuchh zamaane kaa e'tibaar nahin
hijr mein us but-e-kaafir ke taDapte hain paDe
ahl-e-zunnaar kahin saahib-e-islaam kahin
'faraaz' ishq ki duniyaa to khub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
hijr mein muskuraae jaa dil mein use talaash kar
naaz-e-sitam uThaae jaa raaz-e-sitam na faash kar