Shayari
khema-e-jaan ki tanaabon ko ukhaD jaanaa thaa
ham se ik roz tiraa gham bhi bichhaD jaanaa thaa
is daaera-e-raushni-o-rang se aage
kyaa jaaniye kis haal mein basti ke makin hain
اس دائرۂ روشنی و رنگ سے آگے
کیا جانیے کس حال میں بستی کے مکیں ہیں
इस दाएरा-ए-रौशनी-ओ-रंग से आगे
क्या जानिए किस हाल में बस्ती के मकीं हैं

khema-e-jaan ki tanaabon ko ukhaD jaanaa thaa
ham se ik roz tiraa gham bhi bichhaD jaanaa thaa
kis ne vafaa ke naam pe dhokaa diyaa mujhe
kis se kahun ki meraa gunahgaar kaun hai
maut se ziist ki takmil nahin ho sakti
raushni khaak mein tahlil nahin ho sakti
phir yuun huaa ki mujh pe hi divaar gir paDi
lekin na khul sakaa pas-e-divaar kaun hai
ik tiri yaad gale aise paDi hai ki 'najib'
aaj kaa kaam bhi ham kal pe uThaa rakhte hain
zamin pe paanv zaraa ehtiyaat se dharnaa
ukhaD gae to qadam phir kahaan sambhalte hain
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
khud hi jaane lage the aur khud hi
raasta rok kar khaDe hue hain
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain