Shayari
harfon ke mile joD baDhaa husn raqam kaa
har lafz ke paivand mein bakhiya hai qalam kaa
kaar-e-din yaa fikr-e-duniyaa kijiye
zindagi thoDi hai kyaa kyaa kijiye
کار دیں یا فکر دنیا کیجیے
زندگی تھوڑی ہے کیا کیا کیجیے
कार-ए-दीं या फ़िक्र-ए-दुनिया कीजिए
ज़िंदगी थोड़ी है क्या क्या कीजिए

harfon ke mile joD baDhaa husn raqam kaa
har lafz ke paivand mein bakhiya hai qalam kaa
tasadduq hone vaale pis na jaaein
uThaae haath se daaman ko chaliye
allaah re taraddud-e-khaatir ki kasratein
tuuda banaa diyaa mujhe gard-e-malaal kaa
husn-e-barahnagi ke uThaate baDe maze
hotaa na ruuh ko jo libaas-e-badan hijaab
ek se do daagh do se chaar phir to saikDon
khilte khilte phuul siine par gulistaan ho gayaa
matlab hai miraa aariz-e-pur-nur kaa jalva
aashiq huun tiraa naam ko banda huun khudaa kaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai