Shayari
jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
tufaan uThaa rahaa hai mire dil mein sail-e-ashk
vo din khudaa na laae jo main aab-dida huun
طوفاں اٹھا رہا ہے مرے دل میں سیل اشک
وہ دن خدا نہ لائے جو میں آب دیدہ ہوں
tūfāñ uThā rahā hai mire dil meñ sail-e-ashk
vo din ḳhudā na laa.e jo maiñ āb-dīda huuñ

jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
ghash khaa ke giraa pahle hi shoale ki jhalak se
muusaa ko bhalaa kahiye to kyaa tuur ki sujhi
mai bhi hai miinaa bhi hai saaghar bhi hai saaqi nahin
dil mein aataa hai lagaa dein aag mai-khaane ko ham
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
mazmun-e-sard-mehri-e-jaanaan raqam karun
gar haath aae kaaghaz-e-kashmir kaa varaq
vo aap se ruThaa nahin manne kaa 'nazir' aah
kyaa dekhe hai chal paanv paD aur us ko manaa laa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
kitne hi saanp yahaan aa ke paDe rahte hain
is liye aastin dil se bhi baDi rakkhi hai
umr-bhar un se ta'alluq nahin TuuTaa kartaa
aise kuchh log hain jo dil mein utar jaate hain
sab ko dil kaa raaz bataanaa Thiik nahin
duniyaa-daari duniyaa-daari hoti hai