Shayari
zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte
کیسے ہوتی ہے شب کی سحر دیکھتے
کاش ہم بھی کبھی جاگ کر دیکھتے
कैसे होती है शब की सहर देखते
काश हम भी कभी जाग कर देखते

zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
tire vajud ko chhu le to phir mukammal ho
bhaTak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh mein
kal tire ehsaas ki baarish tale
meraa sunaa-pan nahaayaa der tak
miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa
mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage
maaro patthar bhi to nahin hiltaa
jam chukaa hai ab is qadar paani
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
un aankhon mein Daal kar jab aankhein us raat
main Duubaa to mil gae Duube hue jahaaz
aataa huun main zamaane ki aankhon mein raat din
lekin khud apni nazron se ab tak nihaan huun main
rukhsat huaa shabaab to ab aap aae hain
ab aap hi bataaiye sarkaar kyaa karein