Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
chup ho gayaa huun aap ki surat ko dekh kar
karni thiin aap se mujhe kitni shikaayatein
چپ ہو گیا ہوں آپ کی صورت کو دیکھ کر
کرنی تھیں آپ سے مجھے کتنی شکایتیں
चुप हो गया हूँ आप की सूरत को देख कर
करनी थीं आप से मुझे कितनी शिकायतें

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
shaayad zabaan pe qarz thaa ham ne chukaa diyaa
khaamosh ho gae hain tujhe ham pukaar ke
shor-sharaaba rahtaa thaa jis aangan mein
aaj vahaan se bas khaamoshi nikli hai
fazaaein chup hain kuchh aisi ki dard boltaa hai
badan ke shor mein kis ko pukaarein kyaa maangein
baDi hasrat se insaan bachpane ko yaad kartaa hai
ye phal pak kar dobaara chaahtaa hai khaam ho jaae
tere kahne se chup nahin huun main
jaantaa huun ki bolnaa kab hai