Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
shab ki tanhaai mein ab to akasr
guftugu tujh se rahaa karti hai
شب کی تنہائی میں اب تو اکثر
گفتگو تجھ سے رہا کرتی ہے
shab kī tanhā.ī meñ ab to akasr
guftugū tujh se rahā kartī hai

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main sach kahungi magar phir bhi haar jaaungi
vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa
vo kahin bhi gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahi baat hai achchhi mire harjaai ki
laDkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajiib
hans rahi hain aur kaajal bhigtaa hai saath saath
tujhe manaaun ki apni anaa ki baat sunun
ulajh rahaa hai mire faislon kaa resham phir
ab to is raah se vo shakhs guzartaa bhi nahin
ab kis ummid pe darvaaze se jhaanke koi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
unhin ki hasrat-e-rafta ki yaadgaar huun main
jo log rah gae tanhaa bhari bahaaron mein
yuun hi ham dard apnaa kho rahe hain
yahi ronaa hai ham kyuun ro rahe hain
kuchh na hote hote ik din ye huaa
saikDon sadiyon kaa haasil ho gae