Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
yuun bichhaDnaa bhi bahut aasaan na thaa us se magar
jaate jaate us kaa vo muD kar dobaara dekhnaa
یوں بچھڑنا بھی بہت آساں نہ تھا اس سے مگر
جاتے جاتے اس کا وہ مڑ کر دوبارہ دیکھنا
yuuñ bichhaḌnā bhī bahut āsāñ na thā us se magar
jaate jaate us kā vo muḌ kar dobāra dekhnā

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main sach kahungi magar phir bhi haar jaaungi
vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa
vo kahin bhi gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahi baat hai achchhi mire harjaai ki
laDkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajiib
hans rahi hain aur kaajal bhigtaa hai saath saath
tujhe manaaun ki apni anaa ki baat sunun
ulajh rahaa hai mire faislon kaa resham phir
ab to is raah se vo shakhs guzartaa bhi nahin
ab kis ummid pe darvaaze se jhaanke koi
itni jaldi nahin bichhaDnaa thaa
jitni jaldi bichhaD gai ho tum
le jaae jahaan chaahe havaa ham ko uDaa kar
TuuTe hue patton ki hikaayat hi alag hai
tiri judaai kaa mausam bhi khub-surat hai
mujhe nikaal rahaa hai khumaar se baahar
jaise do mulkon ko ik sarhad alag karti hui
vaqt ne khat aisaa khinchaa mere us ke darmiyaan
mar mar ke agar shaam to ro ro ke sahar ki
yuun zindagi ham ne tiri duuri mein basar ki
tire baghair tere intizaar se thak kar
shab-e-firaaq ke maaron ko niind aai hai