Shayari
miri jaanib se un ke dil mein kis shikve pe kiina hai
vo shikva jo zabaan par kyaa abhi dil mein nahin aayaa
mar mar ke agar shaam to ro ro ke sahar ki
yuun zindagi ham ne tiri duuri mein basar ki
مر مر کے اگر شام تو رو رو کے سحر کی
یوں زندگی ہم نے تری دوری میں بسر کی
मर मर के अगर शाम तो रो रो के सहर की
यूँ ज़िंदगी हम ने तिरी दूरी में बसर की

miri jaanib se un ke dil mein kis shikve pe kiina hai
vo shikva jo zabaan par kyaa abhi dil mein nahin aayaa
sadqe tire hote hain suraj bhi sitaare bhi
ham kis se kahein dil hai siine mein hamaare bhi
ibtidaa se aaj tak 'naatiq' ki ye hai sarguzisht
pahle chup thaa phir huaa divaana ab behosh hai
dil hai kis kaa jis mein armaan aap kaa rahtaa nahin
farq itnaa hai ki sab kahte hain main kahtaa nahin
aazaadiyon kaa haq na adaa ham se ho sakaa
anjaam ye huaa ki giraftaar ho gae
dil rahe yaa na rahe zakhm bhare yaa na bhare
chaarasaazon ki khushaamad mujhe manzur nahin
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein