Shayari
ye taaj ke saae mein zar-o-sim ke khirman
kyuun aatish-e-kashkol-e-gadaa se nahin Darte
yaad hain aap ke toDe hue paimaan ham ko
kijiye aur na sharminda-e-ehsaan ham ko
یاد ہیں آپ کے توڑے ہوئے پیماں ہم کو
کیجئے اور نہ شرمندۂ احساں ہم کو
याद हैं आप के तोड़े हुए पैमाँ हम को
कीजिए और न शर्मिंदा-ए-एहसाँ हम को

ye taaj ke saae mein zar-o-sim ke khirman
kyuun aatish-e-kashkol-e-gadaa se nahin Darte
miri zindagi ki zinat hui aafat-o-balaa se
main vo zulf-e-kham-ba-kham huun jo sanvar gai havaa se
na jaane kah gae kyaa aap muskuraane mein
hai dil ko naaz ki jaan aa gai fasaane mein
giit hariyaali ke gaaeinge sisakte hue khet
mehnat ab ghaarat-e-jaagir tak aa pahunchi hai
abhi se subh-e-gulshan raqs-farmaa hai nigaahon mein
abhi puuri naqaab ulTi nahin hai shaam-e-sahraa ne
guzraa hai kaun phuul khilaataa khiraam se
'shaadaab' aaj raahguzar paa rahaa huun main
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
maan bhi luun ki tiri yaad mahaz vaahima hai
phir bhi vo yaad hi dam-saaz rahi shaam-o-sahar