Shayari
dastakhat to tumhein bhi aate hain
abbaa tum bhi vazir ban jaate
chhin gai kursi to leader par uThaa liin kursiyaan
jin pe takiya thaa vahi patte havaa dene lage
چھن گئی کرسی تو لیڈر پر اٹھا لیں کرسیاں
جن پہ تکیہ تھا وہی پتے ہوا دینے لگے
छिन गई कुर्सी तो लीडर पर उठा लीं कुर्सियाँ
जिन पे तकिया था वही पत्ते हवा देने लगे

dastakhat to tumhein bhi aate hain
abbaa tum bhi vazir ban jaate
khud tiis kaa hai aur dulhan saaTh baras ki
girti hui divaar ke saae mein khaDaa hai
be-vaqufi ke anokhe kaarnaame dekh kar
achchhe-khaase leaderon ko bhi gadhaa kahnaa paDaa
apni shohrat ki alag raah nikaali ham ne
kisi divaan se ghazal koi churaa li ham ne
teraa aadhaa kaam khud insaan hi karne lage
kaam teraa ab to ai shaitaan aadhaa rah gayaa
meraa sasuraal mein koi bhi taraf-daar nahin
un ke honTon pe bhi taale hain khudaa khair kare
Dartaa huun dekh kar dil-e-be-aarzu ko main
sunsaan ghar ye kyuun na ho mehmaan to gayaa
hamaare khauf ki khallaaqiyaan khudaa ki panaah
vo bijliyaan hain nazar mein jo aasmaan mein nahin
baad murdan bhi hai teraa khauf mujh ko is qadar
aankh uThaa kar main ne jannat mein na dekhaa huur ko
ye hu kaa vaqt ye jangal ghanaa ye kaali raat
suno yahaan koi khatra nahin Thahar jaao
bhes mein masarrat ke gham kahin na aayaa ho
is sabab se Dar Dar kar ham khushi se milte hain
main Dar rahaa huun tumhaari nashili aankhon se
ki luuT lein na kisi roz kuchh pilaa ke mujhe