Shayari
sunaa hai ghair ki mahfil mein tum na jaaoge
kaho to aaj sajaa luun gharib-khaane ko
agar aa jaae pahlu mein 'qamar' vo maah-e-kaamil bhi
do aalam jagmagaa uTTheinge dohri chaandni hogi
اگر آ جائے پہلو میں قمرؔ وہ ماہ کامل بھی
دو عالم جگمگا اٹھیں گے دوہری چاندنی ہوگی
अगर आ जाए पहलू में 'क़मर' वो माह-ए-कामिल भी
दो आलम जगमगा उट्ठेंगे दोहरी चाँदनी होगी

sunaa hai ghair ki mahfil mein tum na jaaoge
kaho to aaj sajaa luun gharib-khaane ko
har vaqt mahviyat hai yahi sochtaa huun main
kyuun barq ne jalaayaa miraa aashiyaan na puchh
nasheman khaak hone se vo sadma dil ko pahunchaa hai
ki ab ham se koi bhi raushni dekhi nahin jaati
zaraa ruuTh jaane pe itni khushaamad
'qamar' tum bigaaDoge aadat kisi ki
'qamar' afshaan chuni hai rukh pe us ne is saliqe se
sitaare aasmaan se dekhne ko aae jaate hain
zabt kartaa huun to ghuTtaa hai qafas mein miraa dam
aah kartaa huun to sayyaad khafaa hotaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad