Shayari
vo kyaa chhuTe hayaat ke 'unvaan badal gae
duniyaa samajh rahi hai abhi ji rahaa huun main
allah-re iltifaat-o-nadaamat ki saazishein
nazrein milin talaafi-e-maafaat ho gai
اللہ رے التفات و ندامت کی سازشیں
نظریں ملیں تلافئ مافات ہو گئی
अल्लह-रे इल्तिफ़ात-ओ-नदामत की साज़िशें
नज़रें मिलीं तलाफ़ी-ए-माफ़ात हो गई

vo kyaa chhuTe hayaat ke 'unvaan badal gae
duniyaa samajh rahi hai abhi ji rahaa huun main
dil ki be-kaifiyon ko kyaa kiije
fasl-e-gul hai magar bahaar nahin
khud kiyaa tark-e-ta'alluq ham se
khud hi ranjur hue jaate hain
rukte nahin hain paa-e-jihat-aashnaa kahin
manzil bhi ek sang-e-nishaan rah-guzar mein hai
kisi ke vaada-e-sabr-aazmaa ki khair ki ham
ab e'tibaar ki had se guzarte jaate hain
miri samt manzil ko baDhte jo dekhaa
miraa saath chhoDaa mire rahnumaa ne
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge