Shayari
utro khud apni zaat ki gahraai mein 'khalish'
ubhre jo apne-aap ko paane ki aarzu
bikharte khvaabon se taabir ke dhundlakon tak
muhaajrat ne kachoke bahut lagaae hain
بکھرتے خوابوں سے تعبیر کے دھندلکوں تک
مہاجرت نے کچوکے بہت لگائے ہیں
बिखरते ख़्वाबों से ता'बीर के धुँदलकों तक
मुहाजरत ने कचोके बहुत लगाए हैं

utro khud apni zaat ki gahraai mein 'khalish'
ubhre jo apne-aap ko paane ki aarzu
jazb kar ke rakh lenaa dastakein hatheli mein
jab se main safar mein huun ham-safar hain darvaaze
guzarte vaqt ke aasaar kaun chhoD gayaa
zamaane Tal gae lekin aTal rahe hain sutun
jis tanaazur mein bhi dekho khush-jamaalon ko 'khalish'
zaaviya bigDaa nazar kaa saare bigDe zaaviye
zakhmon ko phuul kar de tanhaaiyon ko marham
sau qurbaton pe bhaari hijrat kaa ek mausam
kahin hujum mein tanhaai mil gai thi mujhe
main ro diyaa tiri yaadon se guftugu kar ke
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
bahut se saanp the is ghaar ke dahaane par
dil is liye bhi khazaana shumaar hone lagaa
badal ke dekh chuki hai reaayaa saahib-e-takht
jo sar qalam nahin kartaa zabaan khinchtaa hai
dalil us ke dariche ki pesh ki main ne
kisi ko patli gali se nahin nikalne diyaa
kis tarah haal-e-dil kahun us gul se baagh mein
phirti hai us ke saath to har-dam sabaa lagi