Shayari
ham bhi usi ke saath gae hosh se 'said'
lamha jo qaid-e-vaqt se baahar chalaa gayaa
kuchh log ibtidaa-e-rifaaqat se qabl hi
aainda ke har ek guzishta tak aa gae
کچھ لوگ ابتدائے رفاقت سے قبل ہی
آئندہ کے ہر ایک گزشتہ تک آ گئے
कुछ लोग इब्तिदा-ए-रिफ़ाक़त से क़ब्ल ही
आइंदा के हर एक गुज़िश्ता तक आ गए

ham bhi usi ke saath gae hosh se 'said'
lamha jo qaid-e-vaqt se baahar chalaa gayaa
jo tire khitta-e-be-aab ki khvaahish na banaa
kulbulaataa hai vo dariyaa kisi kohsaar mein gum
us din se paaniyon ki tarah bah rahe hain ham
jis din se pattharon kaa iraada samajh liyaa
sab karishme taalluqaat ke hain
khaak uDti hai khaak-daan mein kyaa
jal thal kaa khvaab thaa ki kinaare Dubo gayaa
tanhaa kanval bhi jhiil se baahar nikal paDaa
khushk patton mein kisi yaad kaa shoala hai 'said'
main bujhaataa huun magar aag bhaDak jaati hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
ye bhi kyaa kam hai basirat ki nazar haasil hui
doston ne ki jo tujh se dushmani maatam na kar
na guftugu mein tasalli na khaamushi mein sadaa
suluk-e-dost kaa andaaz hi niraalaa hai
pyaar karne vaalon kaa sirf ek sahraa hai
saare shahr us ke hain saari bastiyaan us ki
sunaa ai dosto tum ne ki shaaer hain 'muzaffar' bhi
ba-zaahir aadmi kitne bhale maalum hote hain