Shayari
ham un se aaj kaa shikva kareinge
ukhaaDeinge vo barson ki gaDi baat
naqd-e-dil kaa baDaa taqaazaa hai
goyaa un ki zamin jote hain
نقد دل کا بڑا تقاضا ہے
گویا ان کی زمیں جوتے ہیں
नक़्द-ए-दिल का बड़ा तक़ाज़ा है
गोया उन की ज़मीं जोते हैं

ham un se aaj kaa shikva kareinge
ukhaaDeinge vo barson ki gaDi baat
na aashiq hain zamaane mein na maashuq
idhar ham rah gae hain aur udhar aap
baat karne mein honT laDte hain
aise takraar kaa khudaa-haafiz
dard ko gurda taDapne ko jigar
hijr mein sab hain magar dil to nahin
dafn ham ho chuke to kahte hain
is gunahgaar kaa khudaa-haafiz
ek do tiin chaar paanch chhe saat
yunhi gin leinge kam ke kyaa maani
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil bayaaz-e-umr ki auraaq-gardaani mein hai
kyaa khabar hai kaun saa safha khulaa rah jaaegaa
dil us chashm ko vo dil-e-zaar ko
ki dekhe hai bimaar bimaar ko
roz ik baat mire dil ko sataati hai 'ziyaa'
is qadar TuuT ke tum ne use chaahaa kyuun hai
kitni dilkash hain ye baarish ki phuvaarein lekin
aisi baarish mein miri jaan bhi jaa sakti hai