Shayari
khudaa kisi ko giraftaar zulf kaa na kare
nasib mein kisi kaafir ke ye balaa na kare
S
Santokh Rai Betabchashm-e-bad-dur ajab khush-qad-o-qaamat hogaa
abhi fitna hai koi din mein qayaamat hogaa
چشم بد دور عجب خوش قد و قامت ہوگا
ابھی فتنہ ہے کوئی دن میں قیامت ہوگا
चश्म-ए-बद-दूर अजब ख़ुश-क़द-ओ-क़ामत होगा
अभी फ़ित्ना है कोई दिन में क़यामत होगा
khudaa kisi ko giraftaar zulf kaa na kare
nasib mein kisi kaafir ke ye balaa na kare
na rahe baagh-e-jahaan mein kabhi aaraam se ham
phans gae qaid-e-qafas mein jo chhuTe daam se ham
apne mazhab mein hai ik shart tariq-e-ikhlaas
kuchh gharaz kufr se rakhte hain na islaam se ham
aah di siine mein aatish kaun si be-dard ne
dil se le kar munh talak umDaa huaa ik dard hai
mohabbat ki bhi kyaa hotin nahin ai ham-nashin raahein
ki khubaan yuun hamein dukh dein, ham un ko is tarah chaahein
go ki tujh lutf ke qaabil dil-e-ranjur nahin
par tiri banda-navaazi se ye kuchh duur nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
sab ko qudrat thi khush-kalaami par
khaamushi mein zabaan-daraaz thaa main
ai chaman vaalo chaman mein yuun guzaaraa chaahiye
baaghbaan bhi khush rahe raazi rahe sayyaad bhi