Shayari
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage
muTThiyon mein khaak le kar dost aae vaqt-e-dafn
zindagi bhar ki mohabbat kaa silaa dene lage
مٹھیوں میں خاک لے کر دوست آئے وقت دفن
زندگی بھر کی محبت کا صلا دینے لگے
मुट्ठियों में ख़ाक ले कर दोस्त आए वक़्त-ए-दफ़्न
ज़िंदगी भर की मोहब्बत का सिला देने लगे

hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
ai chaman vaalo chaman mein yuun guzaaraa chaahiye
baaghbaan bhi khush rahe raazi rahe sayyaad bhi
mushkil-e-ishq mein laazim hai tahammul 'saaqib'
baat bigDi hui banti nahin ghabraane se
bu-e-gul phulon mein rahti thi magar rah na saki
main to kaanTon mein rahaa aur pareshaan na huaa
balaa se ho paamaal saaraa zamaana
na aae tumhein paanv rakhnaa sambhal kar
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
yuun mohabbat ko umr-bhar paDhnaa
zindagi imtihaan ho jaise
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin