Shayari
kam-ayaari ne khudaa-soz banaayaa aisaa
but to sab yaad rahe ek khudaa bhuul gae
aaghaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
''ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai''
آغاز محبت سے انجام محبت تک
''اک آگ کا دریا ہے اور ڈوب کے جانا ہے''
आग़ाज़-ए-मोहब्बत से अंजाम-ए-मोहब्बत तक
''इक आग का दरिया है और डूब के जाना है'

kam-ayaari ne khudaa-soz banaayaa aisaa
but to sab yaad rahe ek khudaa bhuul gae
shauq hai tujh ko zamaane mein tiraa naam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat miri bad-naam na ho
tu ne kab ishq mein achchhaa buraa sochaa 'sarvar'
kaise mumkin hai ki teraa buraa anjaam na ho
dekh ye jazb-e-mohabbat kaa karishma to nahin
kal jo tere dil mein thaa vo aaj mere dil mein hai
bayaan qissa-e-bechaargi kiyaa jaae
jo dil ki rah gai dil mein use kahaa jaae
aarzu hasrat aur ummid shikaayat aansu
ik tiraa zikr thaa aur biich mein kyaa kyaa niklaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
tere shaidaa bhi hue ishq-e-tamaashaa bhi hue
tere divaane tire shahr mein rusvaa bhi hue