Shayari
kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kisi nigaah mein itnaa Thahar ke aai hai
ye kaaenaat bahut ban-sanvar ke aai hai
کسی نگاہ میں اتنا ٹھہر کے آئی ہے
یہ کائنات بہت بن سنور کے آئی ہے
किसी निगाह में इतना ठहर के आई है
ये काएनात बहुत बन-सँवर के आई है

kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
husn aisaa thaa ki har ik aainaa kam paD gayaa
aaina kyaa umr bhar kaa dekhnaa kam paD gayaa
ye jahaan ek tamaashaa hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise ham bhi tamaashaa kahte
dard thaa haijaan thaa par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate haadisa kam paD gayaa
miri is chashm-e-tar se abr-e-baaraan ko hai kyaa nisbat
ki vo dariyaa kaa paani aur ye khun-e-dil hai barsaati
sab ummidein mire aashob-e-tamannaa tak thiin
bastiyaan ho gaiin gharqaab to dariyaa utraa
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
hai ikhtiyaar hamein kaaenaat par haasil
savaal ye hai ki ham kis ke ikhtiyaar mein hain
mujh se ye pyaas kaa sahraa nahin dekhaa jaataa
roz ab khvaab mein dariyaa nahin dekhaa jaataa