Shayari
yahaan pe kuchh bhi nahin hai baaqi tu aks apnaa talaash mat kar
miri nigaahon ke aaine ab ghubaar-e-furqat se aT gae hain
kaar-e-duniyaa ko bhi kaar-e-ishq mein shaamil samajh
is liye ai zindagi teri pata rakhtaa huun main
کار دنیا کو بھی کار عشق میں شامل سمجھ
اس لیے اے زندگی تیری پتہ رکھتا ہوں میں
कार-ए-दुनिया को भी कार-ए-इश्क़ में शामिल समझ
इस लिए ऐ ज़िंदगी तेरी पता रखता हूँ मैं

yahaan pe kuchh bhi nahin hai baaqi tu aks apnaa talaash mat kar
miri nigaahon ke aaine ab ghubaar-e-furqat se aT gae hain
mujh ko ataa huaa hai ye kaisaa libaas-e-zist
baDhte hain jis ke chaak baraabar rafu ke saath
us ki bhi miri tarah thi ik apni kahaani
us ko bhi nibhaanaa paDaa kirdaar mujhe bhi
kyaa karun ai tishnagi teraa mudaavaa bas vo lab
jin labon ko chhu ke paani aag bantaa jaae hai
yaaro duaa karo ye koi haadsa na ho
pahle yuun intizaar mein lazzat kabhi na thi
kyaa kisi ummid par phir se dar-e-dil vaa karun
tujh se baDh kar khud bataa meraa shanaasaa kaun thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
phir na kiije miri gustaakh-nigaahi kaa gilaa
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujh ko
koi to aisaa ghar hotaa jahaan se pyaar mil jaataa
vahi begaane chehre hain jahaan jaaein jidhar jaaein