Shayari
piine ko is jahaan mein kaun si mai nahin magar
ishq jo baanTtaa hai vo aab-e-hayaat aur hai
chup huun tumhaaraa dard-e-mohabbat liye hue
sab puchhte hain tum ne zamaane se kyaa liyaa
چپ ہوں تمہارا درد محبت لیے ہوئے
سب پوچھتے ہیں تم نے زمانے سے کیا لیا
चुप हूँ तुम्हारा दर्द-ए-मोहब्बत लिए हुए
सब पूछते हैं तुम ने ज़माने से क्या लिया

piine ko is jahaan mein kaun si mai nahin magar
ishq jo baanTtaa hai vo aab-e-hayaat aur hai
bujhaa hai dil to na samjho ki bujh gayaa gham bhi
ki ab charaagh ke badle charaagh ki lau hai
lijiye bulaa liyaa aap ko khayaal mein
ab to dekhiye hamein koi dekhtaa nahin
vo dil bhi jalaate hain rakh dete hain marham bhi
kyaa turfa tabiat hai shola bhi hain shabnam bhi
be-khabar phuul ko bhi khinch ke patthar pe na maar
ki dil-e-sang mein khvaabida sanam hotaa hai
yaad-e-maazi gham-e-imroz umid-e-fardaa
kitne saae mire hamraah chalaa karte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
shabnam ke aansu phuul par ye to vahi qissa huaa
aankhein miri bhigi hui chehra tiraa utraa huaa
dekh kar meraa dasht-e-tanhaai
rang-e-ru-e-bahaar utraa hai
khud ko is bhiiD mein tanhaa nahin hone deinge
maan tujhe ham abhi buDhaa nahin hone deinge