Shayari
chaahte to the mire aghyaar tu paidaa na ho
phir bhi ye himmat hai teri tu agar paidaa huaa
saaqi kaa aur sharaab kaa ho zikr baar baar
zaahid ko bhuul kar na kabhi paarsaa likhein
ساقی کا اور شراب کا ہو ذکر بار بار
زاہد کو بھول کر نہ کبھی پارسا لکھیں
साक़ी का और शराब का हो ज़िक्र बार बार
ज़ाहिद को भूल कर न कभी पारसा लिखें

chaahte to the mire aghyaar tu paidaa na ho
phir bhi ye himmat hai teri tu agar paidaa huaa
bolin ki kaam karne ki khugar nahin huun main
biivi huun aap ki koi shauhar nahin huun main
pi gai thi ghol kar 'aazaad' ki aab-e-hayaat
tab kahin ghar mein mire tujh saa pisar paidaa huaa
khaanaa khulne kaa hi elaan agar farmaa dein
ham ye samjheinge ki taqrir-e-sadaarat bakhshi
mumkin nahin ghazab se bachein ham janaab ke
baalishtiyon ko bhi na agar sarv saa likhein
facebōk hi aaj-kal chaupaal hai
chauk par milte kahaan hain chaar dost
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
qadam yuun be-khatar ho kar na mai-khaane mein rakh denaa
bahut mushkil hai jaan o dil ko nazraane mein rakh denaa
mar gayaa huun pe ta'alluq hai ye mai-khaane se
mere hisse ki chhalak jaati hai paimaane se
us ke shikasta vaar kaa bhi rakh liyaa bharam
ye qarz ham ne zakhm ki surat adaa kiyaa
palkein hain ki sargoshi mein khushbu kaa safar hai
aankhon ki khamoshi hai ki aavaaz kaa chehra