Shayari
ye kaisi be-qaraari sunne vaalon ke dilon mein hai
varaq dohraa rahaa hai kyaa koi meri kahaani kaa
kuchh to fitrat se mili daanaai
kuchh mayassar hui naa-daanon se
کچھ تو فطرت سے ملی دانائی
کچھ میسر ہوئی نادانوں سے
कुछ तो फ़ितरत से मिली दानाई
कुछ मयस्सर हुई नादानों से

ye kaisi be-qaraari sunne vaalon ke dilon mein hai
varaq dohraa rahaa hai kyaa koi meri kahaani kaa
un ki nigaah-e-naaz ki gardish ke saath saath
mahsus ye huaa ki zamaana badal gayaa
us ki hansi tum kyaa samjho
vo jo pahron royaa hai
ai inqalaab-e-nau tiri raftaar dekh kar
khud ham bhi sochte hain ki ab tak kahaan rahe
sharik-e-dard nahin jab koi to ai 'shaukat'
khud apni zaat ki bechaargi ghanimat hai
hudud-e-jism se aage baDhe to ye dekhaa
ki tishnagi thi barahna tiri adaaon tak
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
ye maskharon ko vazife yunhi nahin milte
raiis khud nahin hanste hansaanaa paDtaa hai
ye bhi rahaa hai kucha-e-jaanaan mein apnaa rang
aahaT hui to chaand dariche mein aa gayaa
kai logon ne phalte phulte peDon se jaanaa hai
magar main ne tujhe sabze ki uryaani se pahchaanaa