Shayari
chali samt-e-ghaib siin kyaa havaa ki chaman zuhur kaa jal gayaa
magar ek shaakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi
maktab-e-ishq kaa moallim huun
kyuun na hoe dars-e-yaar ki takraar
مکتب عشق کا معلم ہوں
کیوں نہ ہوئے درس یار کی تکرار
maktab-e-ishq kā moallim huuñ
kyuuñ na ho.e dars-e-yār kī takrār

chali samt-e-ghaib siin kyaa havaa ki chaman zuhur kaa jal gayaa
magar ek shaakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi
masjid abru mein teri mardumuk hai jiyun imaam
mu-e-mizhgaan muqtadi ho mil ke karte hain namaaz
aa shitaabi siin vagarna majlis-e-ushshaaq mein
zulm hai gham hai qayaamat hai kharaabi ai sanam
roza-daaraan-e-judaai kuun kham-e-abru-e-yaar
maah-e-id-e-ramazaan thaa mujhe maalum na thaa
hamaari baat mohabbat siin tum jo gosh karo
to apni prem kahaani tumhein sunaaungaa
haq mein ushshaaq ke qayaamat hai
kyaa karam kyaa itaab kyaa dushnaam
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
ishq ki choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahi
naqsh-e-qadam hain raah mein farhaad-o-qais ke
ai ishq khinch kar mujhe laayaa idhar kahaan