Shayari
main ne puchhaa ki hai kyaa shaghl to hans kar bole
aaj kal ham tere marne ki duaa karte hain
ishq ki choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahi
عشق کی چوٹ کا کچھ دل پہ اثر ہو تو سہی
درد کم ہو یا زیادہ ہو مگر ہو تو سہی
इश्क़ की चोट का कुछ दिल पे असर हो तो सही
दर्द कम हो या ज़ियादा हो मगर हो तो सही

main ne puchhaa ki hai kyaa shaghl to hans kar bole
aaj kal ham tere marne ki duaa karte hain
vaada kyuun baar baar karte ho
khud ko be-e'tibaar karte ho
pahunche na vahaan tak ye duaa maang rahaa huun
qaasid ko udhar bhej ke dhyaan aae hai kyaa kyaa
na khauf-e-aah buton ko na Dar hai naalon kaa
baDaa kaleja hai in dil dukhaane vaalon kaa
main jo aayaa ghair se hans kar kahaa us ne 'jalaal'
khatm hai jis par sharaafat vo kamina aa gayaa
ik raat dil-jalon ko ye aish-e-visaal de
phir chaahe aasmaan jahannam mein Daal de
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
rahguzar hai udaas meri tarah
jaane kab vo yahaan se guzregaa