Shayari
ai dost is zamaan-o-makaan ke azaab mein
dushman hai jo kisi ko duaa-e-hayaat de
vo tamaashaa huun hazaaron mire aaine hain
ek aaine se mushkil hai ayaan ho jaaun
وہ تماشا ہوں ہزاروں مرے آئینے ہیں
ایک آئینے سے مشکل ہے عیاں ہو جاؤں
वो तमाशा हूँ हज़ारों मिरे आईने हैं
एक आईने से मुश्किल है अयाँ हो जाऊँ

ai dost is zamaan-o-makaan ke azaab mein
dushman hai jo kisi ko duaa-e-hayaat de
hujum-e-gul mein rahe ham hazaar dast daraaz
sabaa-nafas the kisi par giraan nahin guzre
numud un ki bhi daur-e-subu mein thi kal raat
abhi jo daur-e-tah-e-aasmaan nahin guzre
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa