Shayari
har musaafir ke saath aataa hai
ik nayaa raasta hamesha se
vo is kamaal se khelaa thaa ishq ki baazi
main apni fath samajhtaa thaa maat hone tak
وہ اس کمال سے کھیلا تھا عشق کی بازی
میں اپنی فتح سمجھتا تھا مات ہونے تک
वो इस कमाल से खेला था इश्क़ की बाज़ी
मैं अपनी फ़तह समझता था मात होने तक

har musaafir ke saath aataa hai
ik nayaa raasta hamesha se
milaa thaa hijr ke raste mein subh ki maanind
bichhaD gayaa thaa musaafir se raat hone tak
duniyaa-bhar mein jitne manzar achchhe hain
un kaa husn aur shor havaa kaa tere naam
tumhaari yaad baDhi aur dil huaa raushan
ye ek shama andhere ne khud jalaa li hai
zakhm kab kaa thaa dard uThaa hai ab
us ke jaane kaa dukh huaa hai ab
meri aankhon mein khvaab hain jis ke
us ki aankhon mein rat-jagaa hai ab
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mushkil-e-ishq mein laazim hai tahammul 'saaqib'
baat bigDi hui banti nahin ghabraane se