Shayari
vo aaina hai to hairat kisi jamaal ki ho
jo sang hai to kahin rahguzar mein rakkhaa jaae
ajiib dard kaa rishta thaa sab ke sab roe
shajar giraa to parinde tamaam shab roe
عجیب درد کا رشتہ تھا سب کے سب روئے
شجر گرا تو پرندے تمام شب روئے
अजीब दर्द का रिश्ता था सब के सब रोए
शजर गिरा तो परिंदे तमाम शब रोए

vo aaina hai to hairat kisi jamaal ki ho
jo sang hai to kahin rahguzar mein rakkhaa jaae
ye viraani si yunhi to nahin rahti hai aankhon mein
mire dil hi se koi jaada-e-vahshat nikaltaa hai
tire khayaal ki lau hi safar mein kaam aai
mire charaag to lagtaa thaa roe ab roe
raat ro ro ke guzaari hai charaaghon ki tarah
tab kahin harf mein taasir nazar aai hai
khush-arzaani hui hai is qadar baazaar-e-hasti mein
giraan jis ko samajhtaa huun vo kam-qimat nikaltaa hai
abhi to mansab-e-hasti se main haTaa hi nahin
badal gae hain mire doston ke lahje bhi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
duniyaa badal gai thi koi gham na thaa mujhe
tum bhi badal gae the ye hairaani khaa gai
lazzat-e-ishq ilaahi miT jaae
dard armaan huaa jaataa hai
'mushafi' kyunke chhupe un se miraa dard-e-nihaan
yaar to baat ke andaaz se paa jaate hain