Shayari
tamaam umr tire intizaar mein hamdam
khizaan-rasida rahaa huun bahaar kar mujh ko
duniyaa badal gai thi koi gham na thaa mujhe
tum bhi badal gae the ye hairaani khaa gai
دنیا بدل گئی تھی کوئی غم نہ تھا مجھے
تم بھی بدل گئے تھے یہ حیرانی کھا گئی
दुनिया बदल गई थी कोई ग़म न था मुझे
तुम भी बदल गए थे ये हैरानी खा गई

tamaam umr tire intizaar mein hamdam
khizaan-rasida rahaa huun bahaar kar mujh ko
umr bhar rahnaa hai taabir se gar duur tumhein
phir mire khvaab mein aane ki zarurat kyaa hai
tujh se main jang kaa elaan bhi kar hi dungaa
mere dushman tu mire qad ke baraabar to aa
tumhein hamaari mohabbaton ke hasin jazbe bulaa rahe hain
jo ham ne likkhe the tum pe hamdam vo saare naghme bulaa rahe hain
nahin hai jis kaa hal ab to koi 'nadim' bas ik sivaa tumhaare
main ek aisaa hi masala huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa
tu samajhtaa hai gar fuzul mujhe
kar ke himmat zaraa saa bhuul mujhe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa