Shayari
taajir huun khushbuon kaa so 'ummaan' is liye
phirtaa huun us ke shahr mein aksar yahaan vahaan
baat aur bhi bigaDti hai nazrein churaane se
'ummaan' aaine mein bhi dekhaa karo kabhi
بات اور بھی بگڑتی ہے نظریں چرانے سے
عماؔن آئنے میں بھی دیکھا کرو کبھی
बात और भी बिगड़ती है नज़रें चुराने से
'उम्मान' आइने में भी देखा करो कभी

taajir huun khushbuon kaa so 'ummaan' is liye
phirtaa huun us ke shahr mein aksar yahaan vahaan
bahti havaa ne raat jo raundaa gulaab ko
gulshan mein baaghbaan pe ilzaam aa gayaa
saaqi sharaab Daal magar naap kar nahin
hoti hai sharmsaar mohabbat usuul se
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
aur bhi to hain zamaane mein tumhaare aashiq
ek main hi tumhein kyaa qaabil-e-ilzaam milaa