Shayari
sukut vo bhi musalsal sukut kyaa maani
kahin yahi tiraa andaaz-e-guftugu to nahin
chaman mein rakhte hain kaanTe bhi ik maqaam ai dost
faqat gulon se hi gulshan ki aabru to nahin
چمن میں رکھتے ہیں کانٹے بھی اک مقام اے دوست
فقط گلوں سے ہی گلشن کی آبرو تو نہیں
चमन में रखते हैं काँटे भी इक मक़ाम ऐ दोस्त
फ़क़त गुलों से ही गुलशन की आबरू तो नहीं

sukut vo bhi musalsal sukut kyaa maani
kahin yahi tiraa andaaz-e-guftugu to nahin
sakun to jab ho ki main chhaanv sehn mein dekhun
nazar to vaise gali kaa shajar bhi aataa hai
aasmaanon se farishte jo utaare jaaein
vo bhi is daur mein sach bolein to maare jaaein
ai dopahar ki dhuup bataa kyaa javaab duun
divaar puchhti hai ki saaya kidhar gayaa
jaane kab tufaan bane aur rastaa rastaa bichh jaae
band banaa kar so mat jaanaa dariyaa aakhir dariyaa hai
vo khvaab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai
bichhaDne vaalaa sharik-e-safar to ab bhi hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ajiib vaqt hai ab doston ke chaaqu ko
mire qalam ki nahin ungliyon ki hasrat hai
kab alam aur hasratein apni kahein ai dostaan
raat ko bulbul hain ham aur din ko parvaane hain ham
mohkme mein ishq ke hai yaaro divaane kaa shor
mere dil dene kaa ghul us ke mukar jaane kaa shor
miri khushi se mire doston ko gham hai 'shamim'
mujhe bhi is kaa bahut gham hai kyaa kiyaa jaae
ai kuza-gar de shakl mujhe ik charaagh ki
jis se kisi dayaar ko raushan main kar sakun