Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
ai dost arz-e-gham pe na yuun muskuraa ke dekh
apni nazar mein aap giraa jaa rahaa huun main
اے دوست عرض غم پہ نہ یوں مسکرا کے دیکھ
اپنی نظر میں آپ گرا جا رہا ہوں میں
ऐ दोस्त अर्ज़-ए-ग़म पे न यूँ मुस्कुरा के देख
अपनी नज़र में आप गिरा जा रहा हूँ मैं

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vo jalva-e-sad-rang mein ik Dhang se niklaa
jo misra tire sina-o-aahang se niklaa
tanhaa tire maatam mein nahin shaam-e-siyah-posh
rahtaa hai sadaa chaak garebaan-e-sahar bhi
lamhe lamhe se bani hai ye zamaane ki kitaab
nuqta nuqta yahaan sadiyon kaa safar lagtaa hai