Shayari
ye bhi to ik dalil hai us ke vajud ki
jab tak na maaniye use dil maantaa nahin
mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
مہندی مرے لہو کی مبارک ہو آپ کو
رنگ حنا ہے اس میں اور بوئے وفا بھی ہے
मेहंदी मिरे लहू की मुबारक हो आप को
रंग-ए-हिना है इस में और बू-ए-वफ़ा भी है

ye bhi to ik dalil hai us ke vajud ki
jab tak na maaniye use dil maantaa nahin
zaahid sharaab piine de masjid mein baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaan par khudaa na ho
na khudaa hi milaa na visaal-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue
rahe dil mein hamaare ye ranj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue
kabhi teraa dar kabhi dar-ba-dar kabhi 'arsh par kabhi farsh par
gham-e-'aashiqi tiraa shukriya main kahaan kahaan se guzar gayaa
saliqe se havaaon mein jo khushbu ghol sakte hain
abhi kuchh log baaqi hain jo urdu bol sakte hain
mahfil mein chaar chaand lagaane ke baavajud
jab tak na aap aae ujaalaa na ho sakaa
kahte na the ham 'dard' miyaan chhoDo ye baatein
paai na sazaa aur vafaa kijiye us se
zaraa dekh aaina meri vafaa kaa
ki tu kaisaa thaa ab kaisaa lage hai
vo sitam na Dhaae to kyaa kare use kyaa khabar ki vafaa hai kyaa?
tu usi ko pyaar kare hai kyuun ye 'kalim' tujh ko huaa hai kyaa?
ye vaaz-e-vafaadaari 'aajiz' na badal denaa
vo zakhm tujhe deinge tum un ko ghazal denaa
ham ne to khud ko bhi miTaa Daalaa
tum ne to sirf bevafaai ki
aashnaa bevafaa nahin hotaa
bevafaa aashnaa nahin hotaa