Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
tu aur chashm-e-lutf nai vaardaat hai
meri nigaah ne mujhe dhokaa diyaa na ho
تو اور چشم لطف نئی واردات ہے
میری نگاہ نے مجھے دھوکا دیا نہ ہو
तू और चश्म-ए-लुत्फ़ नई वारदात है
मेरी निगाह ने मुझे धोका दिया न हो

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
yaar main itnaa bhukaa huun
dhokaa bhi khaa letaa huun
mohabbaton ke kai rang ruup hote hain
fareb-e-yaar se koi gila nahin karte
dil-o-nazar ko abhi tak vo de rahe hain fareb
tasavvuraat-e-kuhan ke qadim but-khaane
khudi se pyaar karo aur khudaa ke saath raho
ye tum se kis ne kahaa bevafaa ke saath raho
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabaab kaa
goyaa chhalak rahaa hai piyaala sharaab kaa
mujhe malaal nahin teri bevafaai kaa
main apne aap se aankhein nahin milaa saktaa