Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
us mehrbaan nazar ki inaayat kaa shukriya
tohfa diyaa hai eid pe ham ko judaai kaa
اس مہرباں نظر کی عنایت کا شکریہ
تحفہ دیا ہے عید پہ ہم کو جدائی کا
उस मेहरबाँ नज़र की इनायत का शुक्रिया
तोहफ़ा दिया है ईद पे हम को जुदाई का

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
aaj tak yaad hai vo shaam-e-judaai kaa samaan
teri aavaaz ki larzish tire lahje ki thakan
ye alag baat ki main nuuh nahin thaa lekin
main ne kashti ko ghalat samt mein bahne na diyaa
bataa rahaa hai jhaTaknaa tiri kalaai kaa
zaraa bhi ranj nahin hai tujhe judaai kaa
haath bhar duuri pe hai qismat ki chaabi aap ki
ek chhoTaa saa qadam aur kaamyaabi aap ki
muskuraa kar un kaa milnaa aur bichhaDnaa ruuTh kar
bas yahi do lafz ik din daastaan ho jaaeinge
tere firaaq ne ki zindagi ataa mujh ko
teraa visaal jo miltaa to mar gayaa hotaa