Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
zamaane bhar ko mubaarak khushi kaa aalam ho
hamaare vaaste ai dost tum kahaan kam ho
زمانے بھر کو مبارک خوشی کا عالم ہو
ہمارے واسطے اے دوست تم کہاں کم ہو
ज़माने भर को मुबारक ख़ुशी का आलम हो
हमारे वास्ते ऐ दोस्त तुम कहाँ कम हो

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
mujhe bachaa le mire yaar soz-e-imshab se
ki ik sitaara-e-vahshat jabin se guzregaa
yak qadam raah-e-dost hai 'daaud'
lekin afsos paa-e-bakht hai lang
ham ko aghyaar kaa gilaa kyaa hai
zakhm khaaein hain ham ne yaaron se
jo munh se kahte hain kuchh aur karte hain kuchh aur
vahi zamaana mein kuchh ikhtiyaar rakhte hain
kam-ayaari ne khudaa-soz banaayaa aisaa
but to sab yaad rahe ek khudaa bhuul gae